Top 35+

Ibaadat Shayari

Here is a curated collection of Ibaadat shayari in Hindi. You can download HD images of all the Ibaadat shayari on this page. These Ibaadat Shayari images can also be used as Instagram posts and whatsapp statuses. Start reading now and enjoy.

Paginated list of Ibaadat Shayari. Click on Load more once you reach the end of list to keep reading more content. You can also tap on Sort button below to choose your selection from popular or latest Ibaadat shayari in Hindi and English. Enjoy reading!

ye kya ki sab se bayaan dil ki haalate karne
faraaz tujh ko na aayein mohabbatein karne

ye qurb kya hai ki tu saamne hai aur humein
shumaar abhi se judaai ki saa'atein karne

koi khuda ho ki patthar jise bhi hum chahein
tamaam umr usi ki ibaadaatein karne

sab apne apne qareene se muntazir us ke
kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karne

hum apne dil se hi majboor aur logon ko
zara si baat pe barpa qayaamaatein karne

milen jab un se to mubham si guftugoo karna
phir apne aap se sau sau vazaahatein karne

ye log kaise magar dushmani nibahte hain
humein to raas na aayein mohabbatein karne

kabhi faraaz naye mausamon mein ro dena
kabhi talash puraani rifaqatein karne
ये क्या कि सब से बयाँ दिल की हालतें करनी
'फ़राज़' तुझ को न आईं मोहब्बतें करनी

ये क़ुर्ब क्या है कि तू सामने है और हमें
शुमार अभी से जुदाई की साअ'तें करनी

कोई ख़ुदा हो कि पत्थर जिसे भी हम चाहें
तमाम उम्र उसी की इबादतें करनी

सब अपने अपने क़रीने से मुंतज़िर उस के
किसी को शुक्र किसी को शिकायतें करनी

हम अपने दिल से ही मजबूर और लोगों को
ज़रा सी बात पे बरपा क़यामतें करनी

मिलें जब उन से तो मुबहम सी गुफ़्तुगू करना
फिर अपने आप से सौ सौ वज़ाहतें करनी

ये लोग कैसे मगर दुश्मनी निबाहते हैं
हमें तो रास न आईं मोहब्बतें करनी

कभी 'फ़राज़' नए मौसमों में रो देना
कभी तलाश पुरानी रिफाक़तें करनी
Read Full
Ahmad Faraz
vo shakhs ki main jis se mohabbat nahin karta
hansta hai mujhe dekh ke nafrat nahin karta

pakda hi gaya hoon to mujhe daar pe kheencho
saccha hoon magar apni vakaalat nahin karta

kyun bakhsh diya mujh se gunahgaar ko maula
munsif to kisi se bhi ri'ayat nahin karta

ghar waalon ko ghaflat pe sabhi kos rahe hain
choron ko magar koi malaamat nahin karta

kis qaum ke dil mein nahin jazbaat-e-ibrahim
kis mulk pe namrood hukoomat nahin karta

dete hain ujaale mere sajdon ki gawaahi
main chhup ke andhere mein ibadat nahin karta

bhoola nahin main aaj bhi aadaab-e-jawaani
main aaj bhi auro ko naseehat nahin karta

insaan ye samjhen ki yahan dafn khuda hai
main aise mazaaron ki ziyaarat nahin karta

duniya mein qatil us sa munaafiq nahin koi
jo zulm to sahta hai bagaavat nahin karta
वो शख़्स कि मैं जिस से मोहब्बत नहीं करता
हँसता है मुझे देख के नफ़रत नहीं करता

पकड़ा ही गया हूँ तो मुझे दार पे खींचो
सच्चा हूँ मगर अपनी वकालत नहीं करता

क्यूँ बख़्श दिया मुझ से गुनहगार को मौला
मुंसिफ़ तो किसी से भी रिआ'यत नहीं करता

घर वालों को ग़फ़लत पे सभी कोस रहे हैं
चोरों को मगर कोई मलामत नहीं करता

किस क़ौम के दिल में नहीं जज़्बात-ए-बराहीम
किस मुल्क पे नमरूद हुकूमत नहीं करता

देते हैं उजाले मिरे सज्दों की गवाही
मैं छुप के अँधेरे में इबादत नहीं करता

भूला नहीं मैं आज भी आदाब-ए-जवानी
मैं आज भी औरों को नसीहत नहीं करता

इंसान ये समझें कि यहाँ दफ़्न ख़ुदा है
मैं ऐसे मज़ारों की ज़ियारत नहीं करता

दुनिया में 'क़तील' उस सा मुनाफ़िक़ नहीं कोई
जो ज़ुल्म तो सहता है बग़ावत नहीं करता
Read Full
Qateel Shifai
socha nahin achha bura dekha suna kuch bhi nahin
maanga khuda se raat din tere siva kuch bhi nahin

socha tujhe dekha tujhe chaaha tujhe pooja tujhe
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahin

jis par hamaari aankh ne moti bichhaaye raat bhar
bheja wahi kaaghaz use hum ne likha kuch bhi nahin

ik shaam ke saaye tale baithe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kaha kuch bhi nahin

ehsaas ki khushboo kahaan awaaz ke jugnoo kahaan
khaamosh yaadon ke siva ghar mein raha kuch bhi nahin

do-chaar din ki baat hai dil khaak mein mil jaayega
jab aag par kaaghaz rakha baaki bacha kuch bhi nahin
सोचा नहीं अच्छा बुरा देखा सुना कुछ भी नहीं
माँगा ख़ुदा से रात दिन तेरे सिवा कुछ भी नहीं

सोचा तुझे देखा तुझे चाहा तुझे पूजा तुझे
मेरी ख़ता मेरी वफ़ा तेरी ख़ता कुछ भी नहीं

जिस पर हमारी आँख ने मोती बिछाए रात भर
भेजा वही काग़ज़ उसे हम ने लिखा कुछ भी नहीं

इक शाम के साए तले बैठे रहे वो देर तक
आँखों से की बातें बहुत मुँह से कहा कुछ भी नहीं

एहसास की ख़ुशबू कहाँ आवाज़ के जुगनू कहाँ
ख़ामोश यादों के सिवा घर में रहा कुछ भी नहीं

दो-चार दिन की बात है दिल ख़ाक में मिल जाएगा
जब आग पर काग़ज़ रखा बाक़ी बचा कुछ भी नहीं
Read Full
Bashir Badr
muskuraa rahe hain aap dost aap kaun hain
chaah kya rahe hain aap dost aap kaun hain

hum hazeen hain mubtila ibaadat-e-firaq mein
aazma rahein hain aap dost aap kaun hain

hum dukaan band kar chuke hain ishq ki janab
khatkhataa rahein hain aap dost aap kaun hain

zakham vo jo jism ho chuke hain rishte rishte ab
dekh pa rahe hain aap dost aap kaun hain

saath saal jaan-maal leke poochte hain vo
jaan kha rahe hain aap dost aap kaun hain

baag mein mere meri hi naak ke tale ghazab
gul khila rahe hain aap dost aap kaun hain

bazm mein wafa jafaa daga haya ki baat hai
tilimila rahe hain aap dost aap kaun hain

baar-baar baat-baat mein usi aziz ka
naam la rahe hain aap dost aap kaun hain

log-baag poochte hain padh ke tujhko keerti
jee jala rahein hain aap dost aap kaun hain
मुस्कुरा रहे हैं आप दोस्त आप कौन हैं
चाह क्या रहे हैं आप दोस्त आप कौन हैं

हम हज़ीं हैं मुब्तिला इबादत-ए-फ़िराक़ में
आज़मा रहें हैं आप दोस्त आप कौन हैं

हम दुकान बंद कर चुके हैं इश्क़ की जनाब
खटखटा रहें हैं आप दोस्त आप कौन हैं

ज़ख़्म वो जो जिस्म हो चुके हैं रिसते रिसते अब
देख पा रहे हैं आप दोस्त आप कौन हैं

सात साल जान-माल लेके पूछते हैं वो
जान खा रहे हैं आप दोस्त आप कौन हैं

बाग में मेरे मेरी ही नाक के तले ग़ज़ब
गुल खिला रहे हैं आप दोस्त आप कौन हैं

बज़्म में वफ़ा जफ़ा दग़ा हया की बात है
तिलमिला रहे हैं आप दोस्त आप कौन हैं

बार-बार बात-बात में उसी अज़ीज़ का
नाम ला रहे हैं आप दोस्त आप कौन हैं

लोग-बाग पूछते हैं पढ़ के तुझको कीर्ति
जी जला रहें हैं आप दोस्त आप कौन हैं
Read Full
kirti
jab bacchon ko ilm padaaya ja saka hai
phir to unko pyaar sikhaaya ja saka hai

ishq ibadat hai itni si baat sikha kar
har paagal dil ko bahlāya ja saka hai

dil ki sarhad tod teri baahon mein aakar
hum ro dete lekin sustaaya ja saka hai

qudrat ke saaye ki rahmat bhool chuke hain
ye haalat hai sar se saaya ja saka hai

do roti ki bhookh hai mujhko utna kha luun
ab lagta hai mulk bachaaya ja saka hai

dil mein aane ka raasta to seedha hi hai
gar in baanhon ko failaaya ja saka hai

chhod humi ko sabse dil ka haal kaho mat
hamko dil ka haal sunaaya ja saka hai

gharwaale jab tumko sab samjha sakte hai
ghar waalon ko bhi samjhaaya ja saka hai

ishq ajal hai jisne jaana unse poocho
marne tak to jism sajaaya ja saka hai

kaafir ko kaafir kehne mein hujjat kaisi
maula ko kaafir thehraaya ja saka tha

mushkil waqt ne sikhaaye hain khoob sabak bhi
do roti se kaam chalaaya ja saka hai

patthar fenko patthar pujo patthar gadh lo
patthar ko har kaam mein laaya ja saka hai

inko samjhaane ki khaatir aa mat jaana
eesa tujhko phir latkaaya ja saka hai

bacche boodhe roz jhagdate hain duniya mein
bacchon ka jhagda suljhaaya ja saka hai

hamne raanjhe se maajhi tak seekha ye hai
deewaanon ko kaam bataaya ja saka hai

qudrat ke barson ka haasil hai ye insa
aur khuda to roz banaya ja saka hai

kisko kitna yaad rakhoge tay karna hai
kiska kitna gham dohraaya ja saka hai

ab main itna soch raha hoon paagal hi hoon
paagal se deewaan likhaaya ja saka hai

mere dil pe haath rakha phir poocha usne
iska kitna daam lagaaya ja saka hai

aafat hai ki mujhko sabka hashr pata hai
khair jalaya ya dafnaya ja saka hai

mazhab ke vaade jhoothe bhi ho sakte hain
mazhab ka eimaan giraaya ja saka hai

kad ghar ke bacchon ka jab badhne lag jaaye
deewaron ko aur uthaya ja saka hai

pehle socho ped bachaayenge hum kaise
tab mumkin hai shehar bachaaya ja saka hai

hum dil par dastak de aise jaahil nahin hai
dil ko to chupchaap churaaya ja saka hai

mandir o masjid par dastak dene waale
maula ko to khud mein paaya ja saka hai

sach ki soorat saadi hokar bhi achhi hai
jhooth ko to kuch bhi pahnaaya ja saka hai

yaar khushi gar khud dhundooge to paoge
gham ko to sabse dilwaaya ja saka hai

mandir o masjid ki qaid buri hai waiz
maula ko ye sach batlaaya ja saka hai

vo mehfil mein phir bulwa saka hai tujhko
mehfil se jaana bhi zaaya ja saka hai
जब बच्चों को इल्म पढ़ाया जा सकता है
फिर तो उनको प्यार सिखाया जा सकता है

इश्क़ इबादत है इतनी सी बात सिखा कर
हर पागल दिल को बहलाया जा सकता है

दिल की सरहद तोड़ तेरी बाहों में आकर
हम रो देते लेकिन सुस्ताया जा सकता है

क़ुदरत के साए की रहमत भूल चुके हैं
ये हालत है सर से साया जा सकता है

दो रोटी की भूख है मुझको उतना खा लूँ
अब लगता है मुल्क बचाया जा सकता है

दिल में आने का रास्ता तो सीधा ही है
गर इन बाँहों को फैलाया जा सकता है

छोड़ हमी को सबसे दिल का हाल कहो मत
हमको दिल का हाल सुनाया जा सकता है

घरवाले जब तुमको सब समझा सकते है
घर वालों को भी समझाया जा सकता है

इश्क़ अजल है जिसने जाना उनसे पूछो
मरने तक तो जिस्म सजाया जा सकता है

काफ़िर को काफ़िर कहने में हुज्जत कैसी
मौला को काफ़िर ठहराया जा सकता था

मुश्किल वक़्त ने सिखलाए हैं ख़ूब सबक भी
दो रोटी से काम चलाया जा सकता है

पत्थर फेंको, पत्थर पूजो, पत्थर गढ़ लो
पत्थर को हर काम में लाया जा सकता है

इनको समझाने की ख़ातिर आ मत जाना
ईसा तुझको फिर लटकाया जा सकता है

बच्चे बूढ़े रोज झगड़ते हैं दुनिया में
बच्चों का झगड़ा सुलझाया जा सकता है

हमने रांझे से माझी तक सीखा ये है
दीवानों को काम बताया जा सकता है

क़ुदरत के बरसों का हासिल है ये इंसा
और ख़ुदा तो रोज़ बनाया जा सकता है

किसको कितना याद रखोगे तय करना है
किसका कितना ग़म दोहराया जा सकता है

अब मैं इतना सोच रहा हूँ पागल ही हूँ!
पागल से दीवान लिखाया जा सकता है

मेरे दिल पे हाथ रखा फिर पूछा उसने
इसका कितना दाम लगाया जा सकता है

आफ़त है कि मुझको सबका हश्र पता है
ख़ैर जलाया या दफनाया जा सकता है

मज़हब के वादे झूठे भी हो सकते हैं
मज़हब का ईमान गिराया जा सकता है

कद घर के बच्चों का जब बढ़ने लग जाए
दीवारों को और उठाया जा सकता है

पहले सोचो पेड़ बचाएंगे हम कैसे
तब मुमकिन है शहर बचाया जा सकता है

हम दिल पर दस्तक दे ऐसे जाहिल नहीं है
दिल को तो चुपचाप चुराया जा सकता है

मंदिर ओ मस्जिद पर दस्तक देने वाले
मौला को तो ख़ुद में पाया जा सकता है

सच की सूरत सादी होकर भी अच्छी है
झूठ को तो कुछ भी पहनाया जा सकता है

यार ख़ुशी गर खुद ढूँढोगे तो पाओगे
ग़म को तो सबसे दिलवाया जा सकता है

मंदिर ओ मस्जिद की क़ैद बुरी है वाइज़
मौला को ये सच बतलाया जा सकता है

वो महफ़िल में फिर बुलवा सकता है तुझको
महफ़िल से जाना भी ज़ाया जा सकता है
Read Full
Gagan Bajad 'Aafat'
nahin ki pand-o-naseehat ka qahat pad gaya hai
hamaari baat mein barkat ka qahat pad gaya hai

to phir ye radd-e-munaajat ki nahoosat kyun
kabhi suna ki ibadat ka qahat pad gaya hai

malaal ye hai ki is par koi malool nahin
hamaare shehar mein hairat ka qahat pad gaya hai

sukhun ka khokhla hona samajh se baahar tha
khula ki harf ki hurmat ka qahat pad gaya hai

kahi kahi nazar aaye to aaye misra-e-tar
nahin to sher mein lazzat ka qahat pad gaya hai

naseeb dil ko bhala kab rahi faraavani
aur ab to vaise bhi muddat ka qahat pad gaya hai

magar ab aisi bhi koi andher-nagri nahin
ye theek hai ki mohabbat ka qahat pad gaya hai

nahin main sirf b-zaahir nahin hua veeraan
daroon-e-zaat bhi shiddat ka qahat pad gaya hai

kahaan gaeein mere gaav ki raunqen javvaad
to kya yahan bhi rivaayat ka qahat pad gaya hai
नहीं कि पंद-ओ-नसीहत का क़हत पड़ गया है
हमारी बात में बरकत का क़हत पड़ गया है

तो फिर ये रद्द-ए-मुनाजात की नहूसत क्यूँ
कभी सुना कि इबादत का क़हत पड़ गया है?

मलाल ये है कि इस पर कोई मलूल नहीं
हमारे शहर में हैरत का क़हत पड़ गया है

सुख़न का खोखला होना समझ से बाहर था
खुला कि हर्फ़ की हुर्मत का क़हत पड़ गया है

कहीं कहीं नज़र आए तो आए मिस्रा-ए-तर
नहीं तो शेर में लज़्ज़त का क़हत पड़ गया है

नसीब दिल को भला कब रही फ़रावानी
और अब तो वैसे भी मुद्दत का क़हत पड़ गया है

मगर अब ऐसी भी कोई अंधेर-नगरी नहीं
ये ठीक है कि मोहब्बत का क़हत पड़ गया है

नहीं मैं सिर्फ़ ब-ज़ाहिर नहीं हुआ वीरान
दरून-ए-ज़ात भी शिद्दत का क़हत पड़ गया है

कहाँ गईं मिरे गाँव की रौनक़ें 'जव्वाद'
तो क्या यहाँ भी रिवायत का क़हत पड़ गया है
Read Full
Jawwad Sheikh

LOAD MORE

How's your Mood?

Latest Blog