itni mushkil mein mujhe chhod ke jaane waale | इतनी मुश्किल में मुझे छोड़ के जाने वाले

  - Riyaz Tariq

itni mushkil mein mujhe chhod ke jaane waale
khush to hain na tujhe aasaani se paane waale

phir naya ho gaya aankhon mein puraana manzar
usne pahne hain wahi kapde purane waale

bas yah dil hai ki jo aawaaz laga deta hai
maine roka nahin tujhko kabhi jaane waale

ik tere ishq ne barbaad kiya hai mujhko
main yah kehta nahin kahte hain zamaane waale

dekh thokar se kahin chot na lag jaaye tujhe
itni jaldi mein mera haath chhudaane waale

khairiyat unki nahin teri liya karta hoon
jo bhi hote hain tere shehar se aane waale

kuchh hi logon kii sadaaon mein asar hota hai
baqi hote hain faqat shor machaane waale

ek qatra bhi teri aankhon mein aansu ka na ho
tapte sehraa mein meri pyaas bujhaane waale

chahe vo jheel ho parbat ho gulistaan ho ya main
sab hain bekar tere kaam na aane waale

tum kisi din jo mujhe apna banaalo aakar
chup ye ho jaayenge sab baatein banaane waale

इतनी मुश्किल में मुझे छोड़ के जाने वाले
ख़ुश तो हैं न तुझे आसानी से पाने वाले ?

फिर नया हो गया आँखों में पुराना मंज़र
उसने पहने हैं वही कपड़े पुराने वाले

बस यह दिल है कि जो आवाज़ लगा देता है
मैंने रोका नहीं तुझको कभी जाने वाले

इक तेरे इश्क़ ने बर्बाद किया है मुझको
मैं यह कहता नहीं, कहते हैं ज़माने वाले

देख ठोकर से कहीं चोट न लग जाए तुझे
इतनी जल्दी में मेरा हाथ छुड़ाने वाले

खैरियत उनकी नहीं तेरी लिया करता हूँ
जो भी होते हैं तेरे शहर से आने वाले

कुछ ही लोगों की सदाओं में असर होता है
बाक़ी होते हैं फ़क़त शोर मचाने वाले

एक क़तरा भी तेरी आँखों में आँसू का न हो
तपते सेहरा में मेरी प्यास बुझाने वाले

चाहे वो झील हो, पर्बत हो, गुलिस्ताँ हो या मैं
सब हैं बेकार तेरे काम न आने वाले

तुम किसी दिन जो मुझे अपना बनालो आकर
चुप ये हो जाएंगे सब बातें बनाने वाले

  - Riyaz Tariq

More by Riyaz Tariq

As you were reading Shayari by Riyaz Tariq

Similar Writers

our suggestion based on Riyaz Tariq

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari