bebas hoon tadpata hoon main haj ke maheene mein
mujhko bhi bula lijye sarkaar madine mein
taiba ka nagar hota chaukhat pe jabeen hoti
kuchh lutf nahin aqaa bin aap ke jeene mein
kyun mahke na ye aalam imaan kii khushboo se
jab khushboo hi khushboo hai aqaa ke paseene mein
bhar denge mera daaman jab chahe muraadon se
rahmat kii kami kya hai aqaa ke khazeene mein
aafat zamaane kii kya mujhko sataayengi
jab naam-e-nabi maine likh rakkha hai seene mein
ho jaaye na gustaakhi bhule se raza koii
ye basti nabi kii hai tu rahna qareene mein
बेबस हूँ तड़पता हूँ मैं हज के महीने में
मुझको भी बुला लीजे सरकार मदीने में
तैबा का नगर होता चौखट पे जबीं होती
कुछ लुत्फ़ नहीं आक़ा बिन आप के जीने में
क्यूँ महके न ये आलम ईमान की ख़ुशबू से
जब ख़ुशबू ही ख़ुशबू है आक़ा के पसीने में
भर देंगे मेरा दामन जब चाहे मुरादों से
रहमत की कमी क्या है आक़ा के ख़ज़ीने में
आफ़ात ज़माने की क्या मुझको सताएँगी
जब नाम-ए-नबी मैंने लिख रक्खा है सीने में
हो जाए न गुस्ताख़ी भूले से रज़ा कोई
ये बस्ती नबी की है तू रहना क़रीने में
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading undefined Shayari