nashsha nahin suroor nahin be-khudi nahin | नश्शा नहीं सुरूर नहीं बे-ख़ुदी नहीं

  - SALIM RAZA REWA

nashsha nahin suroor nahin be-khudi nahin
uske baghair zindagi ye zindagi nahin

vo kya gaya ki raunak-e-mahfil chali gai
jalte to hain charaagh magar raushni nahin

chain-o-sukoon bhi gaya hosh-o-hawas bhi
kaise kahein ki unki ye jaadugari nahin

raah-e-wafa mein thokren kha kar pata chala
mujh mein kami hai yaar mein koii kami nahin

maa baap ke hi dam se sabhi ka vujood hai
unse jahaan mein koii bhi shay qeemti nahin

नश्शा नहीं सुरूर नहीं बे-ख़ुदी नहीं
उसके बग़ैर ज़िन्दगी ये ज़िन्दगी नहीं
 

वो क्या गया कि रौनक-ए-महफ़िल चली गई
जलते तो हैं चराग़ मगर रौशनी नहीं

चैन-ओ-सुकून भी गया होश-ओ-हवास भी 

कैसे कहें कि उनकी ये जादूगरी नहीं 

राह-ए-वफ़ा में ठोकरें खा कर पता चला

मुझ में कमी है यार में कोई कमी नहीं


माँ बाप के ही दम से सभी का वजूद है 

उनसे जहाँ में कोई भी शय क़ीमती नहीं

  - SALIM RAZA REWA

More by SALIM RAZA REWA

As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA

Similar Writers

our suggestion based on SALIM RAZA REWA

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari