rukhsaar jahaan mein koii aisa nahin hoga
unse bhi haseen chaand ka chehra nahin hoga
tum chaand sitaaron kii chamak mein rahe uljhe
tumne mere mehboob ko dekha nahin hoga
hai kaun bhala sar pe balaaen jo le teri
koii bhi to maa-baap ke jaisa nahin hoga
allah ke mehboob pe hai khatm nabuwat
ab koii nabi duniya mein paida nahin hoga
jo mere dil-o-jaan ko karta hai muattar
gulshan mein koii phool bhi aisa nahin hoga
dil khol ke karta hai mohabbat jo kisi se
duniya mein raza vo kabhi rusva nahin hoga
रुख़्सार जहाँ में कोई ऐसा नहीं होगा
उनसे भी हसीं चाँद का चेहरा नहीं होगा
तुम चाँद सितारों की चमक में रहे उलझे
तुमने मेरे महबूब को देखा नहीं होगा
है कौन भला सर पे बलाएँ जो ले तेरी
कोई भी तो माँ-बाप के जैसा नहीं होगा
अल्लाह के महबूब पे है ख़त्म नबूवत
अब कोई नबी दुनिया में पैदा नहीं होगा
जो मेरे दिल-ओ-जान को करता है मुअत्तर
गुलशन में कोई फूल भी ऐसा नहीं होगा
दिल खोल के करता है मोहब्बत जो किसी से
दुनिया में 'रज़ा' वो कभी रुस्वा नहीं होगा
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading undefined Shayari