apne haseen rukh se hata kar naqaab ko
sharminda kar raha hai koii mahtaab ko
unki nigaah-e-naaz ne madhosh kar diya
main ne chhua nahin hai qasam se sharaab ko
dil chahta hai usko dua se nawaaz doon
jab dekhta hoon main kisi khilte gulaab ko
ye zindagi tilism ke jaisi hai dosto
kya dekhte nahin ho bikharte hubaab ko
insaan ban gaya hai raza aadmi se vo
dil se padha hai jisne khuda kii kitaab ko
अपने हसीन रुख़ से हटा कर नक़ाब को
शर्मिन्दा कर रहा है कोई माहताब को
उनकी निगाह-ए-नाज़ ने मदहोश कर दिया
मैं ने छुआ नहीं है क़सम से शराब को
दिल चाहता है उसको दुआ से नवाज़ दूँ
जब देखता हूँ मैं किसी खिलते गुलाब को
ये ज़िन्दगी तिलिस्म के जैसी है दोस्तो
क्या देखते नहीं हो बिखरते हुबाब को
इंसान बन गया है 'रज़ा' आदमी से वो
दिल से पढ़ा है जिसने ख़ुदा की किताब को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading Sharaab Shayari Shayari