kahaan tak jafaa husn waalon kii sahte | कहाँ तक जफ़ा हुस्न वालों की सहते

  - Saqib lakhanavi

kahaan tak jafaa husn waalon kii sahte
jawaani jo rahti to phir ham na rahte

lahu tha tamannaa ka aansu nahin the
bahaaye na jaate to hargiz na bahte

wafa bhi na hota to achha tha wa'ada
ghadi do ghadi to kabhi shaad rahte

hujuum-e-tamannaa se ghutte the dil mein
jo main rokta bhi to naale na rahte

main jaagoon kab tak vo soyen ge taa-kai
kabhi cheekh uththoonga gham sahte sahte

bataate hain aansu ki ab dil nahin hai
jo paani na hota to dariya na bahte

zamaana bade shauq se sun raha tha
humeen so gaye dastaan kahte kahte

koii naqsh aur koii deewaar samjha
zamaana hua mujh ko chup rahte rahte

meri naav is gham ke dariya mein saaqib
kinaare pe aa hi lagi bahte bahte

कहाँ तक जफ़ा हुस्न वालों की सहते
जवानी जो रहती तो फिर हम न रहते

लहू था तमन्ना का आँसू नहीं थे
बहाए न जाते तो हरगिज़ न बहते

वफ़ा भी न होता तो अच्छा था वअ'दा
घड़ी दो घड़ी तो कभी शाद रहते

हुजूम-ए-तमन्ना से घुटते थे दिल में
जो मैं रोकता भी तो नाले न रहते

मैं जागूँगा कब तक वो सोएँ गे ता-कै
कभी चीख़ उठ्ठूँगा ग़म सहते सहते

बताते हैं आँसू कि अब दिल नहीं है
जो पानी न होता तो दरिया न बहते

ज़माना बड़े शौक़ से सुन रहा था
हमीं सो गए दास्ताँ कहते कहते

कोई नक़्श और कोई दीवार समझा
ज़माना हुआ मुझ को चुप रहते रहते

मिरी नाव इस ग़म के दरिया में 'साक़िब'
किनारे पे आ ही लगी बहते बहते

  - Saqib lakhanavi

More by Saqib lakhanavi

As you were reading Shayari by Saqib lakhanavi

Similar Writers

our suggestion based on Saqib lakhanavi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari