aa ke patthar to mere sahan mein do chaar gire
jitne us ped ke fal the pas-e-deewaar gire
aisi dahshat thi fazaaon mein khule paani kii
aankh jhapki bhi nahin haath se patwaar gire
mujhe girna hai to main apne hi qadmon mein girun
jis tarah saaya-e-deewar pe deewaar gire
teergi chhod gaye dil mein ujaale ke khutoot
ye sitaare mere ghar toot ke bekar gire
kya hawa haath mein talwaar liye phirti thi
kyun mujhe dhaal banaane ko ye chhitnaar gire
dekh kar apne dar-o-baam larz jaata hoon
mere ham-saaye mein jab bhi koii deewaar gire
waqt kii dor khuda jaane kahaan se toote
kis ghadi sar pe ye latki hui talwaar gire
ham se takra gai khud badh ke andhere kii chataan
ham sambhal kar jo bahut chalte the naachaar gire
kya kahoon deeda-e-tar ye to mera chehra hai
sang kat jaate hain baarish kii jahaan dhaar gire
haath aaya nahin kuchh raat kii daldal ke siva
haaye kis mod pe khwaabon ke parastaar gire
vo tajalli kii shuaaein theen ki jalte hue par
aaine toot gaye aaina-bardaar gire
dekhte kyun ho shakeb itni bulandi kii taraf
na uthaya karo sar ko ki ye dastaar gire
आ के पत्थर तो मिरे सहन में दो चार गिरे
जितने उस पेड़ के फल थे पस-ए-दीवार गिरे
ऐसी दहशत थी फ़ज़ाओं में खुले पानी की
आँख झपकी भी नहीं हाथ से पतवार गिरे
मुझे गिरना है तो मैं अपने ही क़दमों में गिरूँ
जिस तरह साया-ए-दीवार पे दीवार गिरे
तीरगी छोड़ गए दिल में उजाले के ख़ुतूत
ये सितारे मिरे घर टूट के बेकार गिरे
क्या हवा हाथ में तलवार लिए फिरती थी
क्यूँ मुझे ढाल बनाने को ये छितनार गिरे
देख कर अपने दर-ओ-बाम लरज़ जाता हूँ
मिरे हम-साए में जब भी कोई दीवार गिरे
वक़्त की डोर ख़ुदा जाने कहाँ से टूटे
किस घड़ी सर पे ये लटकी हुई तलवार गिरे
हम से टकरा गई ख़ुद बढ़ के अँधेरे की चटान
हम सँभल कर जो बहुत चलते थे नाचार गिरे
क्या कहूँ दीदा-ए-तर ये तो मिरा चेहरा है
संग कट जाते हैं बारिश की जहाँ धार गिरे
हाथ आया नहीं कुछ रात की दलदल के सिवा
हाए किस मोड़ पे ख़्वाबों के परस्तार गिरे
वो तजल्ली की शुआएँ थीं कि जलते हुए पर
आइने टूट गए आइना-बरदार गिरे
देखते क्यूँ हो 'शकेब' इतनी बुलंदी की तरफ़
न उठाया करो सर को कि ये दस्तार गिरे
As you were reading Shayari by Shakeb Jalali
our suggestion based on Shakeb Jalali
As you were reading undefined Shayari