maut ke din se bura din
haaye ye din aaj ka din
aap khush ho khush raho aur
khushnuma ho aapka din
haadse kii zad mein aa kar
chalte chalte ruk gaya din
meri har ik raat shaapit
mujh pe har ik haadsa din
main bhi khota ja raha hoon
dekh kar ab doobta din
aaj mujh se ho gaya hai
kuchh ziyaada ghamzda din
raat ne to zulm dhaaye
kuchh to lekin sochta din
मौत के दिन से बुरा दिन
हाए ये दिन आज का दिन
आप ख़ुश हो ख़ुश रहो ! और
ख़ुश-नुमा हो आपका दिन
हादसे की ज़द में आ कर
चलते चलते रुक गया दिन
मेरी हर इक रात शापित
मुझ पे हर इक हादसा दिन
मैं भी खोता जा रहा हूँ
देख कर अब डूबता दिन
आज मुझ से हो गया है
कुछ ज़ियादा ग़म-ज़दा दिन
रात ने तो ज़ुल्म ढाए
कुछ तो लेकिन सोचता दिन
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading undefined Shayari