aankh bhooli hai baap ki soorat
us pe dukh hain sharaap ki soorat
gham-zada ik ghazal padhi apni
dard ubhre alaap ki soorat
yaad maa ki rula gai mujh ko
main ne dekhi thi baap ki soorat
taal tanhaai deti rahti hai
dard uthata hai thaap ki soorat
koi aisa nahin raha sohil
jis se milti ho aap ki soorat
आँख भूली है बाप की सूरत
उस पे दुख हैं शराप की सूरत
ग़म-ज़दा इक ग़ज़ल पढ़ी अपनी
दर्द उभरे अलाप की सूरत
याद माँ की रुला गई मुझ को
मैं ने देखी थी बाप की सूरत
ताल तन्हाई देती रहती है
दर्द उठता है थाप की सूरत
कोई ऐसा नहीं रहा सोहिल
जिस से मिलती हो आप की सूरत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Aah Shayari Shayari