ik nazar bhi na mujhe dekhe zamaana jaanaan | इक नज़र भी न मुझे देखे ज़माना जानाँ

  - Sohil Barelvi

ik nazar bhi na mujhe dekhe zamaana jaanaan
aisi haalat mein nahin chhod ke jaana jaanaan

jo chhupaane kii ho vo baat chhupaana lekin
jo bataane kii ho vo baat bataana jaanaan

ab tu apnaaye ya thukraaye tere haathon mein
ab kahin bhi nahin hai mera thikaana jaanaan

is dafa jaan hatheli pe rakhi hai mere
ab qadam soch samajhkar hi uthaana jaanaan

meri aankhon mein faqat khoon bacha hai ab to
ab koii khwaab nahin mujh ko dikhaana jaanaan

kuchh bhi ho jaaye magar itne maraasim rakhna
kaam pad jaaye to nazren na churaana jaanaan

mujh ko dar hai main tere saamne rone na lagoo
mere haalaat nahin mujh ko bataana jaanaan

aur logon kii tarah tum na pareshaan karna
raah bhoolun to mujhe raah dikhaana jaanaan

jin ko apna tu samajhta hai mukar jaayen agar
ek aawaaz mujhe bhi tu lagana jaanaan

इक नज़र भी न मुझे देखे ज़माना जानाँ
ऐसी हालत में नहीं छोड़ के जाना जानाँ

जो छुपाने की हो वो बात छुपाना लेकिन
जो बताने की हो वो बात बताना जानाँ

अब तू अपनाए या ठुकराए तेरे हाथों में
अब कहीं भी नहीं है मेरा ठिकाना जानाँ

इस दफ़ा जान हथेली पे रखी है मेरे
अब क़दम सोच समझकर ही उठाना जानाँ

मेरी आँखों में फ़क़त ख़ून बचा है अब तो
अब कोई ख़्वाब नहीं मुझ को दिखाना जानाँ

कुछ भी हो जाए मगर इतने मरासिम रखना
काम पड़ जाए तो नज़रें न चुराना जानाँ

मुझ को डर है मैं तेरे सामने रोने न लगूँ
मेरे हालात नहीं मुझ को बताना जानाँ

और लोगों की तरह तुम न परेशाँ करना
राह भूलूँ तो मुझे राह दिखाना जानाँ

जिन को अपना तू समझता है मुकर जाएँ अगर
एक आवाज़ मुझे भी तू लगाना जानाँ

  - Sohil Barelvi

More by Sohil Barelvi

As you were reading Shayari by Sohil Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Sohil Barelvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari