saath dete hain aisi haalat mein | साथ देते हैं ऐसी हालत में

  - Sohil Barelvi

saath dete hain aisi haalat mein
munh nahin modte museebat mein

khwaab toota to roengi aankhen
aur kuchh bhi nahin haqeeqat mein

main parindon se ishq karta tha
kab theharna tha un kii aadat mein

us ke jaane se ye hua maaloom
aur kya kya nahin hai qismat mein

tu bhi apni tarah nahin nikla
main bhi kuchh aur tha haqeeqat mein

gaur se dekhta nahin kam-zarf
aadmi kho gaya hai aurat mein

aap ko pyaar chahiye to phir
aap kyun mubtila hain nafrat mein

zakhm dekhe to sab hare nikle
aaj phir pad gaya hoon hairat mein

kuchh nahin maangata tha main rab se
phir bhi khoya raha ibadat mein

साथ देते हैं ऐसी हालत में
मुँह नहीं मोड़ते मुसीबत में

ख़्वाब टूटा तो रोएँगी आँखें
और कुछ भी नहीं हक़ीक़त में

मैं परिंदों से इश्क़ करता था
कब ठहरना था उन की आदत में

उस के जाने से ये हुआ मालूम
और क्या क्या नहीं है क़िस्मत में

तू भी अपनी तरह नहीं निकला
मैं भी कुछ और था हक़ीक़त में

ग़ौर से देखता नहीं कम-ज़र्फ़
आदमी खो गया है औरत में

आप को प्यार चाहिए तो फिर
आप क्यूँ मुब्तिला हैं नफ़रत में

ज़ख़्म देखे तो सब हरे निकले
आज फिर पड़ गया हूँ हैरत में

कुछ नहीं माँगता था मैं रब से
फिर भी खोया रहा इबादत में

  - Sohil Barelvi

More by Sohil Barelvi

As you were reading Shayari by Sohil Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Sohil Barelvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari