roz mujh ko tabaah karte hain | रोज़ मुझ को तबाह करते हैं - Sohil Barelvi

roz mujh ko tabaah karte hain
kuch to aaseb mujh mein aise hain

door jaata nahin hoon tujhse yun
door kab jaane waale laute hain

jaane waalon ko hum nahin rote
jaane waale paraaye hote hain

chaaragar bhi dava kare kab tak
ab to zakhamon se zakhm rishte hain

maine bachpan kabhi nahin dekha
mere auzar hi khilone hain

aapke dukh pe main nahin rota
aap kyun mere dukh pe rote hain

main hoon mahroom ik zamaane se
khair tu ne to apne dekhe hain

aisa mehsoos ho raha sohil
mere marhoom paas baithe hain

रोज़ मुझ को तबाह करते हैं
कुछ तो आसेब मुझ में ऐसे हैं

दूर जाता नहीं हूँ तुझसे यूँ
दूर कब जाने वाले लौटे हैं

जाने वालों को हम नहीं रोते
जाने वाले पराए होते हैं

चारागर भी दवा करे कब तक
अब तो ज़ख़्मों से ज़ख़्म रिसते हैं

मैंने बचपन कभी नहीं देखा
मेरे औज़ार ही खिलौने हैं

आपके दुख पे मैं नहीं रोता
आप क्यूँ मेरे दुख पे रोते हैं

मैं हूँ महरूम इक ज़माने से
ख़ैर तू ने तो अपने देखे हैं

ऐसा महसूस हो रहा सोहिल
मेरे मरहूम पास बैठे हैं

- Sohil Barelvi
0 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sohil Barelvi

As you were reading Shayari by Sohil Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Sohil Barelvi

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari