mushkilein jab bhi badhii kar diya aage mujhko
dene waale ne diye khoob sahaare mujhko
bhool baitha hoon mila de koii mujh se mujhko
aaj meri hi ghazal koii suna de mujhko
kaam aa jaaunga har shakhs ke main thoda bahut
ye alag baat koii jaane na jaane mujhko
laut kar aaye na aaye ye ghadi rab jaane
kuchh ghadi ko hi sahi paas bitha le mujhko
meri haalat pe taras khayega gar aayega
koii dekhe to bahut door se dekhe mujhko
kood jaaun ki nahin koodoon main chhat se neeche
jaane kya sujhne lagta hai yaa aa ke mujhko
kya bataaun main tujhe bheed se kyun katata hoon
raas aate nahin bachpan se tamaashe mujhko
kis jagah kharch karoon jis se lahu kaam aaye
main nahin chahta koii bhi mita de mujhko
मुश्किलें जब भी बढीं कर दिया आगे मुझको
देने वाले ने दिए ख़ूब सहारे मुझको
भूल बैठा हूँ मिला दे कोई मुझ से मुझको
आज मेरी ही ग़ज़ल कोई सुना दे मुझको
काम आ जाऊँगा हर शख़्स के मैं थोड़ा बहुत
ये अलग बात कोई जाने न जाने मुझको
लौट कर आए न आए ये घड़ी रब जाने
कुछ घड़ी को ही सही पास बिठा ले मुझको
मेरी हालत पे तरस खाएगा गर आएगा
कोई देखे तो बहुत दूर से देखे मुझको
कूद जाऊँ कि नहीं कूदूँ मैं छत से नीचे
जाने क्या सूझने लगता है याँ आ के मुझको
क्या बताऊँ मैं तुझे भीड़ से क्यूँ कटता हूँ
रास आते नहीं बचपन से तमाशे मुझको
किस जगह ख़र्च करूँ जिस से लहू काम आए
मैं नहीं चाहता कोई भी मिटा दे मुझको
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading undefined Shayari