tang haalaat mein khush tha jo guzaara kar ke
is baras chhod gaya mujh ko paraaya kar ke
meri takleef mein kuchh aur izaafa kar ke
jaane kya mil gaya hoga use aisa kar ke
aur badhta hai marz patta chillane se
main ne dekha hai kai baar tamasha kar ke
koii dil tak nahin pahuncha hai abhi tak mere
aur jeena hai abhi dil mujhe chhota kar ke
ham bhi achhe hain zamaana bhi hai achha lekin
ik dafa dekhiye is baat ko ulta kar ke
kitne zaalim hain tere shehar ke chaaragar dekh
phir se marne ko mujhe chhoda hai achha kar ke
narm aawaaz mein phir bhi nahin bola vo shakhs
jab ki khaamosh khada sar ko main neecha kar ke
तंग हालात में ख़ुश था जो गुज़ारा कर के
इस बरस छोड़ गया मुझ को पराया कर के
मेरी तकलीफ़ में कुछ और इज़ाफ़ा कर के
जाने क्या मिल गया होगा उसे ऐसा कर के
और बढ़ता है मरज़ चीख़ने चिल्लाने से
मैं ने देखा है कई बार तमाशा कर के
कोई दिल तक नहीं पहुँचा है अभी तक मेरे
और जीना है अभी दिल मुझे छोटा कर के
हम भी अच्छे हैं ज़माना भी है अच्छा लेकिन
इक दफ़ा देखिए इस बात को उल्टा कर के
कितने ज़ालिम हैं तेरे शहर के चारागर देख
फिर से मरने को मुझे छोड़ा है अच्छा कर के
नर्म आवाज़ में फिर भी नहीं बोला वो शख़्स
जब कि ख़ामोश खड़ा सर को मैं नीचा कर के
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading undefined Shayari