khabar jhoothi thi aur akhbaar jaali the
kahaani ke sabhi kirdaar jaali the
sar-e-bazaar nafrat bik rahi thi aur
mohabbat se bhare bazaar jaali the
main kaise dushmanon ka saamna karta
diye jo dost ne ouzaar jaali the
yaqeen hota nahin is baat par lekin
yaqeen kar dost mere yaar jaali the
main ab jo kehta hoon sach kehta hoon yaaro
mere pehle ke sab ashaar jaali the
sabhi mar kar samajh jaayenge ik din ye
mohabbat dosti ghar-baar jaali the
ख़बर झूठी थी और अख़बार जाली थे
कहानी के सभी किरदार जाली थे
सर-ए-बाज़ार नफ़रत बिक रही थी और
मोहब्बत से भरे बाज़ार जाली थे
मैं कैसे दुश्मनों का सामना करता
दिए जो दोस्त ने औज़ार जाली थे
यक़ीं होता नहीं इस बात पर लेकिन
यक़ीं कर दोस्त मेरे यार जाली थे
मैं अब जो कहता हूँ सच कहता हूँ यारो
मिरे पहले के सब अशआर जाली थे
सभी मर कर समझ जाएँगे इक दिन ये
मोहब्बत दोस्ती घर-बार जाली थे
As you were reading Shayari by ABhishek Parashar
our suggestion based on ABhishek Parashar
As you were reading undefined Shayari