koii apni khushi aur zindagi mein leen rehta hai
koii apni udaasi khaamushi mein leen rehta hai
sabhi ko chahiye raushan zahaan aur raushni apni
magar ik shakhs hai jo teergi mein leen rehta hai
vo tanhaai mein akshar sher kehta aur ghazal likhta
bahut tanhaa hai vo so shayari mein leen rehta hai
use bhi kar rakha hai ghar kii maktab ne tang
vo shaayad isliye ab naukri mein leen rehta hai
kisi ko dil lagaane se nahin milti hai fursat aur
koii koii to keval dillagi mein leen rehta hai
use kya ilm usko kaise aur kyun shehar bheja hai
padhaai chhod vo to aashiqi mein leen rehta hai
use kya fark padta hoga is zalim zamaane se
vo to apni ana aur be-dili mein leen rehta hai
कोई अपनी ख़ुशी और ज़िंदगी में लीन रहता है
कोई अपनी उदासी खा़मुशी में लीन रहता है
सभी को चाहिए रौशन ज़हाँ और रौशनी अपनी
मगर इक शख़्स है जो तीरगी में लीन रहता है
वो तन्हाई में अक्सर शेर कहता और ग़ज़ल लिखता
बहुत तन्हा है वो सो शायरी में लीन रहता है
उसे भी कर रखा है घर की ज़िम्मेदारियों ने तंग
वो शायद इसलिए अब नौकरी में लीन रहता है
किसी को दिल लगाने से नहीं मिलती है फ़ुर्सत और
कोई कोई तो केवल दिल्लगी में लीन रहता है
उसे क्या इल्म उसको कैसे और क्यों शहर भेजा है
पढ़ाई छोड़ वो तो आशिक़ी में लीन रहता है
उसे क्या फ़र्क पड़ता होगा इस ज़ालिम ज़माने से
वो तो अपनी अना और बे-दिली में लीन रहता है
As you were reading Shayari by ABhishek Parashar
our suggestion based on ABhishek Parashar
As you were reading undefined Shayari