main bhi us din khushi se jhoom jaata to
tere hothon pe mera naam aata to
bada mayus ho kar ghar gaya tha main
tere qisse agar main bhi sunaata to
bhari mehfil mein ho jaata tu bhi badmaaan
agar main bewafa kah kar bulaata to
ki usne haath kii nas kaat li hogi
teri khaatir agar main zahar khaata to
tu mujhse jis tarah baatein banaati thi
agar main bhi yun hi baatein banata to
tu jaise chhod kar mujhko gai thi jaan
main bhi aise hi tujhko chhod jaata to
मैं भी उस दिन ख़ुशी से झूम जाता तो
तेरे होठों पे मेरा नाम आता तो
बड़ा मायूस हो कर घर गया था मैं
तेरे क़िस्से अगर मैं भी सुनाता तो
भरी महफ़िल में हो जाता तू भी बदमान
अगर मैं बेवफ़ा कह कर बुलाता तो
कि उसने हाथ की नस काट ली होगी
तेरी खा़तिर अगर मैं ज़हर खाता तो
तू मुझसे जिस तरह बातें बनाती थी
अगर मैं भी यूँ ही बातें बनाता तो
तू जैसे छोड़ कर मुझको गई थी जाँ
मैं भी ऐसे ही तुझको छोड़ जाता तो
As you were reading Shayari by ABhishek Parashar
our suggestion based on ABhishek Parashar
As you were reading undefined Shayari