jugnoo tha aur teergi mein tha
yaani main apni hi kami mein tha
gopiyaa kyun naa hoti deewani
prem ras us kii baansuri mein tha
ab vo khwaabon mein bhi nahin aata
jo kabhi meri zindagi mein tha
haaye ye dukh ki main nahin tha yaar
koii aur us kii gallery mein tha
pyaas bujhti naa khudkushi hoti
itna kam paani us nadi mein tha
vo tasavvur mein bhi na tha mera
aur kisi ka vo waqai mein tha
vo maza yaar naukri mein kahaan
jo maza yaar shayari mein tha
जुगनू था और तीरगी में था
यानी मैं अपनी ही कमी में था
गोपियाँ क्यूँ ना होती दीवानी
प्रेम रस उस की बाँसुरी में था
अब वो ख़्वाबों में भी नहीं आता
जो कभी मेरी ज़िंदगी में था
हाए ये दुख कि मैं नहीं था यार
कोई और उस की गैलरी में था
प्यास बुझती ना ख़ुदकुशी होती
इतना कम पानी उस नदी में था
वो तसव्वुर में भी न था मेरा
और किसी का वो वाक़ई में था
वो मज़ा यार नौकरी में कहाँ
जो मज़ा यार शायरी में था
As you were reading Shayari by Viru Panwar
our suggestion based on Viru Panwar
As you were reading undefined Shayari