naya kuchh kar dikhaane ka iraada toot jaata hai
kisi bacche ke haathon jab khilauna toot jaata hai
tahammul ain waajib hai muhabbat kii shareeat mein
agar iftaar jaldi ho to roza toot jaata hai
tire mere milan ka khwaab naazuk aaine sa hai
lage awaaz ka patthar to sapna toot jaata hai
kahaan thokar samjhti hai kisi boodhe kii laachaari
vo jab laathi bachaata hai to chashma toot jaata hai
haqeeqat zindagi kii poochta hoon jab bhi gulshan se
to fauran ped kii tahni se patta toot jaata hai
tujhe yaksar bhulaane ka tujhe dil se mitaane ka
iraada jab bhi karta hoon iraada toot jaata hai
ye ik beti samjhti hai ke uska ghar basaane ko
mera boodha pidar andar se kitna toot jaata hai
zamaane bhar mein mat tu ghoom lekar zawm kii chaabi
zara narmi se nafrat ka ye taalaa toot jaata hai
jawaan bete ka laashaa baap jab koii uthaata hai
bhale faulaad ka ho phir bhi kaandha toot jaata hai
नया कुछ कर दिखाने का इरादा टूट जाता है
किसी बच्चे के हाथों जब खिलौना टूट जाता है
तहम्मुल ऐन वाज़िब है मुहब्बत की शरीअत में
अगर इफ़्तार जल्दी हो तो रोज़ा टूट जाता है
तिरे मेरे मिलन का ख़्वाब नाज़ुक आइने सा है
लगे आवाज़ का पत्थर तो सपना टूट जाता है
कहाँ ठोकर समझती है किसी बूढ़े की लाचारी
वो जब लाठी बचाता है तो चश्मा टूट जाता है
हक़ीक़त ज़िंदगी की पूछता हूँ जब भी गुलशन से
तो फौरन पेड़ की टहनी से पत्ता टूट जाता है
तुझे यकसर भुलाने का तुझे दिल से मिटाने का
इरादा जब भी करता हूँ इरादा टूट जाता है
ये इक बेटी समझती है के उसका घर बसाने को
मेरा बूढ़ा पिदर अंदर से कितना टूट जाता है
ज़माने भर में मत तू घूम लेकर ज़ौम की चाबी
ज़रा नरमी से नफ़रत का ये ताला टूट जाता है
जवाँ बेटे का लाशा बाप जब कोई उठाता है
भले फौलाद का हो फिर भी काँधा टूट जाता है
As you were reading Shayari by Wajid Husain Sahil
our suggestion based on Wajid Husain Sahil
As you were reading undefined Shayari