waqt-e-fursat jo kitaabon mein safar karta hoon
main takhayyul ke sahaabo mein safar karta hoon
jab bhi un mast nigaahon mein safar karta hoon
aisa lagta hai sharaabon mein safar karta hoon
roo-b-roo aa ke to kho deta hoon khud par qaabu
isliye main tire badnaseebi mein safar karta hoon
baarha rukh se hataate hue zulf-e-jaanaan
sehr-angez hijaabo mein safar karta hoon
khud se hi chhed diya karta hoon baatein teri
aur phir khud hi iqaabon mein safar karta hoon
be-shauri kii sanad hai tera chubhta lahja
main to shaair hoon gulaabon mein safar karta hoon
kahin majnoon kahin raanjha kahin saahil bankar
main muhabbat ke nisaabon mein safar karta hoon
वक़्त-ए-फ़ुर्सत जो किताबों में सफ़र करता हूँ
मैं तख़य्युल के सहाबों में सफ़र करता हूँ
जब भी उन मस्त निगाहों में सफ़र करता हूँ
ऐसा लगता है शराबों में सफ़र करता हूँ
रू-ब-रू आ के तो खो देता हूँ खु़द पर क़ाबू
इसलिए मैं तिरे ख़्वाबों में सफ़र करता हूँ
बारहा रुख़ से हटाते हुए जु़ल्फ़-ए-जानाँ
सेह्र-अंगेज़ हिजाबों में सफ़र करता हूँ
खु़द से ही छेड़ दिया करता हूँ बातें तेरी
और फिर खु़द ही इक़ाबों में सफ़र करता हूँ
बे-शऊरी की सनद है तेरा चुभता लहजा
मैं तो शाइर हूँ गुलाबों में सफ़र करता हूँ
कहीं मजनूँ कहीं राँझा कहीं 'साहिल' बनकर
मैं मुहब्बत के निसाबों में सफ़र करता हूँ
As you were reading Shayari by Wajid Husain Sahil
our suggestion based on Wajid Husain Sahil
As you were reading undefined Shayari