sahne dil mein jo pade aapki tasveer ke paanv
aasmaan chhoone lage hain meri taqdeer ke paanv
unke kooche mein pahunchne hi nahin denge dost
kaat denge ye hawaaein meri taqreer ke paanv
pehle daurdata hoon isko sare dashte kaaghaz
phir qalam se main kalam karta hoon tahreer ke paanv
daudti phirti hai din mein to ye bachchon kii tarah
shaam hoti hai to kat jaate hain tanveer ke paanv
baap ke haathon pe aa jayega gahvaare se
ye zameen chhoo na sakegi kabhi beshir ke paanv
kya tha samaan ae safar khwaab ae brahim bata
karbala aake ruke hain teri taabeer ke paanv
सहने दिल में जो पड़े आपकी तस्वीर के पाँव
आसमाँ छूने लगे हैं मेरी तक़दीर के पाँव
उनके कूचे में पहुँचने ही नहीं देंगी दोस्त
काट देंगी ये हवाएँ मेरी तक़रीर के पाँव
पहले दौड़ाता हूँ इसको सरे दश्ते काग़ज़
फिर क़लम से मैं कलम करता हूँ तहरीर के पाँव
दौड़ती फिरती है दिन में तो ये बच्चों की तरह
शाम होती है तो कट जाते हैं तनवीर के पाँव
बाप के हाथों पे आ जायेगा गहवारे से
ये ज़मीं छू न सकेगी कभी बेशीर के पाँव
क्या था सामान- ए- सफ़र ख़्वाब- ए- ब्राहीम बता
कर्बला आके रुके हैं तेरी ताबीर के पाँव
As you were reading Shayari by Amaan Haider
our suggestion based on Amaan Haider
As you were reading undefined Shayari