kisi ne bataaya ki kaisi hai duniya | किसी ने बताया कि कैसी है दुनिया

  - kapil verma

kisi ne bataaya ki kaisi hai duniya
sharaabi ke vaadon sareekhi hai duniya

zara sii hai meethi dahi aur baaki
kasaili hai mailee nukeeli hai duniya

musavvir ke tirpal jaisi hai rangeen
kabhi rang mein tar safedi hai duniya

nahin jis ko dekha na jaana ho tumne
ajab khwaab kii bas khumaari hai duniya

ameeron mein usrut faqeeron mein daulat
samajhdaar kii bewaqoofi hai duniya

janaaze ke gul ya ho shaadi kii maala
khuda-e-chaman kii aseeri hai duniya

kabhi hai puraani kabhi hai nayi sii
tabaahi ke maamool jaisi hai duniya

किसी ने बताया कि कैसी है दुनिया
शराबी के वादों सरीखी है दुनिया

ज़रा सी है मीठी दही और बाक़ी
कसैली है मैली नुकीली है दुनिया

मुसव्विर के तिरपाल जैसी है रंगीं
कभी रंग में तर सफ़ेदी है दुनिया

नहीं जिस को देखा न जाना हो तुमने
अजब ख़्वाब की बस ख़ुमारी है दुनिया

अमीरों में उसरत फ़क़ीरों में दौलत
समझदार की बेवक़ूफ़ी है दुनिया

जनाजे के गुल या हो शादी की माला
ख़ुदा-ए-चमन की असीरी है दुनिया

कभी है पुरानी कभी है नई सी
तबाही के मामूल जैसी है दुनिया

  - kapil verma

More by kapil verma

As you were reading Shayari by kapil verma

Similar Writers

our suggestion based on kapil verma

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari