hai shukr tishnagi mein to gareeb hoon main nahin
pasand tum ho bhale hi qareeb hoon main nahin
ye lehar sa jo hilore liye bahun har dam
magar vo chaand ka dilkash habeeb hoon main nahin
firaq kii ye chakat bhar sake hai kaun bhala
mizaaz-e-waqt sa maahir tabeeb hoon main nahin
ye roz-e-hashr ke hain dost yaar hi behtar
ki kaafiron se bada to raqeeb hoon main nahin
na chaand hai na pari hai na koii rang-o-boo
khud apne khwaab mein bhi baa-naseeb hoon main nahin
है शुक्र तिश्नगी में तो ग़रीब हूँ मैं नहीं
पसंद तुम हो भले ही क़रीब हूँ मैं नहीं
ये लहर सा जो हिलोरे लिए बहूँ हर दम
मगर वो चाँद का दिलकश हबीब हूँ मैं नहीं
फ़िराक़ की ये चकत भर सके है कौन भला
मिजाज़-ए-वक़्त सा माहिर तबीब हूँ मैं नहीं
ये रोज़-ए-हश्र के हैं दोस्त यार ही बेहतर
कि काफ़िरों से बड़ा तो रक़ीब हूँ मैं नहीं
न चाँद है न परी है न कोई रंग-ओ-बू
ख़ुद अपने ख़्वाब में भी बा-नसीब हूँ मैं नहीं
As you were reading Shayari by kapil verma
our suggestion based on kapil verma
As you were reading undefined Shayari