khun ke aansu mujhe rulaati hai | ख़ूँ के आँसू मुझे रुलाती है - Mohd Arham

khun ke aansu mujhe rulaati hai
jab kabhi yaad teri aati hai

teri furqat mein hamne jaana hai
ki ghadi shor kyun machaati hai

ek bacche ne qabr pe likkha
maa ye duniya bada sataati hai

roz suraj ghuroob hote hi
jism mein rooh chatpataati hai

dil jo toota to phir samajh aaya
kaanch kii cheez toot jaati hai

jab bhi badhta hoon manzilon kii taraf
baddua uski muskuraati hai

shaam hote hi roz tanhaai
dil ke kone mein baith jaati hai

ख़ूँ के आँसू मुझे रुलाती है
जब कभी याद तेरी आती है

तेरी फ़ुर्क़त में हमने जाना है
कि घड़ी शोर क्यों मचाती है

एक बच्चे ने क़ब्र पे लिक्खा
माँ ये दुनिया बड़ा सताती है

रोज़ सूरज ग़ुरूब होते ही
जिस्म में रूह छटपटाती है

दिल जो टूटा तो फिर समझ आया
काँच की चीज़ टूट जाती है

जब भी बढ़ता हूँ मंज़िलों की तरफ़
बद्दुआ उसकी मुस्कुराती है

शाम होते ही रोज़ तन्हाई
दिल के कोने में बैठ जाती है

- Mohd Arham
1 Like

More by Mohd Arham

As you were reading Shayari by Mohd Arham

Similar Writers

our suggestion based on Mohd Arham

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari