meri apni alag kahaani mein | मेरी अपनी अलग कहानी में

  - Arohi Tripathi

meri apni alag kahaani mein
jaan atki hui thi jaani mein

tan badan sab sulag raha mera
aag ab to lagegi paani mein

vo mujhe kah raha yahi kab se
lag qayamat rahi ho dhaani mein

aur taarif main karoon kitni
hai nahin kuchh jahan-e-faanee mein

uski khushboo sukoon deti hai
waisi khushboo na raatraani mein

ishq usne kiya haqeeqi tha
chhod aayi thi badgumaani mein

apne haathon jala diya sab kuchh
uski yaadein bachi nishaani mein

aur kya poochhte ho tum mujhse
sab bayaan hai ghazal ke saani mein

मेरी अपनी अलग कहानी में
जान अटकी हुई थी जानी में

तन बदन सब सुलग रहा मेरा
आग अब तो लगेगी पानी में

वो मुझे कह रहा यही कब से
लग क़यामत रही हो धानी में

और तारीफ़ मैं करूँ कितनी
है नहीं कुछ जहाँ-ए-फ़ानी में

उसकी ख़ुश्बू सुकून देती है
वैसी ख़ुश्बू न रातरानी में

इश्क़ उसने किया हक़ीक़ी था
छोड़ आई थी बदगुमानी में

अपने हाथों जला दिया सब कुछ
उसकी यादें बची निशानी में

और क्या पूछते हो तुम मुझसे
सब बयाँ है ग़ज़ल के सानी में

  - Arohi Tripathi

More by Arohi Tripathi

As you were reading Shayari by Arohi Tripathi

Similar Writers

our suggestion based on Arohi Tripathi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari