pehle kya the aur ab kya ho gaye log
apne karmon se tamasha ho gaye log
bandagi pehle bhi to hoti thi lekin
ab duaon se maseeha ho gaye log
ishq bhi karne nahin dete kare kya
tanhaa rahte rahte sehra ho gaye log
shaaz tu bhi unke jaisa mat ho jaana
vo jo chirdein se dhuaan sa ho gaye log
पहले क्या थे और अब क्या हो गए लोग
अपने कर्मों से तमाशा हो गए लोग
बंदगी पहले भी तो होती थी लेकिन
अब दुआओं से मसीहा हो गए लोग
इश्क़ भी करने नहीं देते करे क्या
तन्हा रहते रहते सहरा हो गए लोग
शाज़ तू भी उनके जैसा मत हो जाना
वो जो चिड़ने से धुआँ सा हो गए लोग
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading undefined Shayari