tune mujhse wafa ka kaha tha
mujhko anjaam is ka pata tha
raaste mein khada sochta hoon
aise raston pe chalna manaa tha
uske ghar jaate the dost bankar
aur muhabbat ka sabko pata tha
dariya sookha pada hai vo jisse
aakhiri baar paani bhara tha
tere aib-o-hunar kisne dekhe
teri duniya mein main hi bura tha
तूने मुझसे वफ़ा का कहा था
मुझको अंजाम इस का पता था
रास्ते में खड़ा सोचता हूँ
ऐसे रस्तों पे चलना मना था
उसके घर जाते थे दोस्त बनकर
और मुहब्बत का सबको पता था
दरिया सूखा पड़ा है वो जिससे
आख़िरी बार पानी भरा था
तेरे ऐब-ओ-हुनर किसने देखे
तेरी दुनिया में मैं ही बुरा था
As you were reading Shayari by Rohan Hamirpuriya
our suggestion based on Rohan Hamirpuriya
As you were reading undefined Shayari