ye khabar to zamaane ko hai | ये ख़बर तो ज़माने को है

  - Rohan Hamirpuriya

ye khabar to zamaane ko hai
jhooth izzat bachaane ko hai

aa gaya mere hisse mein vo
baaki ab kya kamaane ko hai

jaan bola nahin call par
shor ab vo machaane ko hai

ham gaye hain dava lene aur
vo dukanein badhaane ko hai

ishq se tauba kyun karte ho
marz ye to chadhaane ko hai

ये ख़बर तो ज़माने को है
झूठ इज़्ज़त बचाने को है

आ गया मेरे हिस्से में वो
बाक़ी अब क्या कमाने को है

जान बोला नहीं कॉल पर
शोर अब वो मचाने को है

हम गए हैं दवा लेने और
वो दुकानें बढ़ाने को है

इश्क़ से तौबा क्यों करते हो
मर्ज़ ये तो चढ़ाने को है

  - Rohan Hamirpuriya

More by Rohan Hamirpuriya

As you were reading Shayari by Rohan Hamirpuriya

Similar Writers

our suggestion based on Rohan Hamirpuriya

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari