zamaane mein nibhaane ko bahut yun to sahaare the
na shaamil zikr tera naam jo maine pukaare the
tire vaadon kii khaatir mahz tode raabte saare
mohabbat ke samandar mein na sohbat ke kinaare the
taghaaful ka gila tujhse karein teri hi mehfil mein
raqeebon ko khabar to ho kabhi tum bhi hamaare the
nibhaane mein qasar baaki na chhodi yaad to hoga
mohabbat ke junoon mein jo kham-e-gesuu sanwaare the
ज़माने में निभाने को बहुत यूँ तो सहारे थे
न शामिल ज़िक्र तेरा नाम जो मैंने पुकारे थे
तिरे वादों की ख़ातिर महज़ तोड़े राब्ते सारे
मोहब्बत के समंदर में न सोहबत के किनारे थे
तग़ाफ़ुल का गिला तुझसे करें तेरी ही महफ़िल में
रक़ीबों को ख़बर तो हो कभी तुम भी हमारे थे
निभाने में क़सर बाक़ी न छोड़ी याद तो होगा
मोहब्बत के जुनूँ में जो ख़म-ए-गेसू सँवारे थे
As you were reading Shayari by Rohan Hamirpuriya
our suggestion based on Rohan Hamirpuriya
As you were reading undefined Shayari