zindagi ka mas'ala samjha nahin | ज़िंदगी का मसअला समझा नहीं - Lalit Mohan Joshi

zindagi ka mas'ala samjha nahin
mujhko jeene ka hunar aata nahin

main nahin soya kai raaton se par
main magar ye baat batlaata nahin

ab jise laana hai le aao yahan
baad uske mujhmein to mujh sa nahin

vo to bagiya hai gulaabon kii yahan
mujhse ik paudha sambhal paata nahin

kyun barsta gham yun bemausam yahan
so tujhe gham aur kuchh aata nahin

uske chhukar jaane ke kuchh baad phir
aise main uljha ki phir nikla nahin

ज़िंदगी का मसअला समझा नहीं
मुझको जीने का हुनर आता नहीं

मैं नहीं सोया कई रातों से पर
मैं मगर ये बात बतलाता नहीं

अब जिसे लाना है ले आओ यहाँ
बाद उसके मुझमें तो मुझ सा नहीं

वो तो बगिया है गुलाबों की यहाँ
मुझसे इक पौधा सँभल पाता नहीं

क्यों बरसता ग़म यूँ बेमौसम यहाँ
सो तुझे ग़म और कुछ आता नहीं

उसके छूकर जाने के कुछ बाद फिर
ऐसे मैं उलझा कि फिर निकला नहीं

- Lalit Mohan Joshi
2 Likes

More by Lalit Mohan Joshi

As you were reading Shayari by Lalit Mohan Joshi

Similar Writers

our suggestion based on Lalit Mohan Joshi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari