bure anjaam kii itni sigaalish ab nahin karta | बुरे अंजाम की इतनी सिगालिश अब नहीं करता

  - Nikhil Tiwari 'Nazeel'

bure anjaam kii itni sigaalish ab nahin karta
main unke saamne jhoothi sataish ab nahin karta

mujhe aasaan hone mein bahut mushkil hui yaaron
yahan se laut jaao main fawaahish ab nahin karta

ghamon kii ret se maine hazaaron dil banaaye hain
magar haan is hunar kii main numaaish ab nahin karta

miloge aasmaan se jab kabhi to poochna us se
zameenon kii talaashi kyun mufttish ab nahin karta

gaye din masjidoon kii seedhiyon tak aab aaya tha
usi din se khuda bhi tez baarish ab nahin karta

purane zakhm ko jo yaad kar ke aankh bhar aaye
bashar iske alaava kuchh giraaish ab nahin karta

agar mauqa mila to sab alag paikar bana lenge
yaqeen kar main khuda se ye guzarish ab nahin karta

बुरे अंजाम की इतनी सिगालिश अब नहीं करता
मैं उनके सामने झूठी सताइश अब नहीं करता

मुझे आसान होने में बहुत मुश्किल हुई यारों
यहाँ से लौट जाओ मैं फ़वाहिश अब नहीं करता

ग़मों की रेत से मैंने हज़ारों दिल बनाए हैं
मगर हाँ इस हुनर की मैं नुमाइश अब नहीं करता

मिलोगे आसमाँ से जब कभी तो पूछना उस से
ज़मीनों की तलाशी क्यूँ मुफ़त्तिश अब नहीं करता

गए दिन मस्जिदों की सीढ़ियों तक आब आया था
उसी दिन से ख़ुदा भी तेज़ बारिश अब नहीं करता

पुराने ज़ख़्म को जो याद कर के आँख भर आए
बशर इसके अलावा कुछ गिराइश अब नहीं करता

अगर मौक़ा मिला तो सब अलग पैकर बना लेंगे
यक़ीं कर मैं ख़ुदा से ये गुज़ारिश अब नहीं करता

  - Nikhil Tiwari 'Nazeel'

More by Nikhil Tiwari 'Nazeel'

As you were reading Shayari by Nikhil Tiwari 'Nazeel'

Similar Writers

our suggestion based on Nikhil Tiwari 'Nazeel'

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari