tumhein zindagi se shikaayat nahin hai
to yaani kisi se muhabbat nahin hai
mujhe bhi khabar hai zamaane mein gham hain
magar tere dar kii zaroorat nahin hai
mujhe aise zindaan mein rakkha gaya hai
jahaan jeleron ko hifaazat nahin hai
kisi roz tum bhi badal jaaoge naa
tumhein bhi khuda se jo nisbat nahin hai
tumhaari bhi aankhen hain kyun uske jaisi
ki in mein bhi kyun meri soorat nahin hai
dikha kar mujhe khwaab ab kah rahe ho
ki ye khwaab hai bas haqeeqat nahin hai
kabhi kar ke dekho samajh jaaoge tum
ye bas ishq hai koii aafat nahin hai
ki izzat se mujhko navaaze hai koii
main shayar mujhe iski aadat nahin hai
kisi roz mujhko bhi chaahat se dekho
meri aur koii bhi chaahat nahin hai
to yaani vo koii naya dhoondhti hai
akela mein jeene kii himmat nahin hai
mujhe bhi shajar chaanv mein baithna hai
faqat dhoop hi meri qismat nahin hai
तुम्हें ज़िंदगी से शिकायत नहीं है
तो यानी किसी से मुहब्बत नहीं है
मुझे भी ख़बर है ज़माने में ग़म हैं
मगर तेरे दर की ज़रूरत नहीं है
मुझे ऐसे ज़िन्दाँ में रक्खा गया है
जहाँ जेलरों को हिफ़ाज़त नहीं है
किसी रोज़ तुम भी बदल जाओगे ना
तुम्हें भी ख़ुदा से जो निस्बत नहीं है
तुम्हारी भी आँखें हैं क्यूँ उसके जैसी
कि इन में भी क्यूँ मेरी सूरत नहीं है
दिखा कर मुझे ख़्वाब अब कह रहे हो
कि ये ख़्वाब है बस हक़ीक़त नहीं है
कभी कर के देखो समझ जाओगे तुम
ये बस इश्क़ है कोई आफ़त नहीं है
कि इज़्ज़त से मुझको नवाज़े है कोई
मैं शायर मुझे इसकी आदत नहीं है
किसी रोज़ मुझको भी चाहत से देखो
मेरी और कोई भी चाहत नहीं है
तो यानी वो कोई नया ढूँढती है
अकेले में जीने की हिम्मत नहीं है
मुझे भी शजर छाँव में बैठना है
फ़क़त धूप ही मेरी क़िस्मत नहीं है
As you were reading Shayari by Praveen Sharma SHAJAR
our suggestion based on Praveen Sharma SHAJAR
As you were reading undefined Shayari