bhai chaare ka haseen guldaan hona chahiye
amn se labreiz hindustan hona chahiye
aaj har ahl-e-nazar hairaan hona chahiye
husn tera nazm ka unwaan hona chahiye
hijr ke toofaan hon ya vasl kii barsaat ho
mutmain hardam dil-e-naadaan hona chahiye
dil dhadak kar de raha hai mere seene mein sada
tujhko shahr-e-husn mein mehmaan hona chahiye
chun rahe hain baithkar palkon se ham furqat ke khaar
ab to raah-e-ishq ko aasaan hona chahiye
shaayari se ishq karne kii ye pehli shart hai
paas tere meer ka deewaan hona chahiye
qatra-e-shabnam lab-e-abroo kii zeenat ban gaya
bazm-e-ahl-e-dil mein ye ailaan hona chahiye
mujh se ye shaana hilakar kehta hai mera zameer
tere andar bhi koii insaan hona chahiye
ishq se mahroomiyat hai bad-naseebi kii daleel
aapko is baat ka irfaan hona chahiye
husn khud be-taab baitha hai numaaish ke liye
chashm-e-dil ko deed ka armaan hona chahiye
main bhi karta hoon shajar haq-goi karne ka gunaah
meri qismat mein bhi to zindaan hona chahiye
भाई चारे का हसीं गुलदान होना चाहिए
अम्न से लबरेज़ हिंदुस्तान होना चाहिए
आज हर अहल-ए-नज़र हैरान होना चाहिए
हुस्न तेरा नज़्म का उनवान होना चाहिए
हिज्र के तूफ़ान हों या वस्ल की बरसात हो
मुतमइन हरदम दिल-ए-नादान होना चाहिए
दिल धड़क कर दे रहा है मेरे सीने में सदा
तुझको शहर-ए-हुस्न में मेहमान होना चाहिए
चुन रहे हैं बैठकर पलकों से हम फ़ुर्क़त के ख़ार
अब तो राह-ए-इश्क़ को आसान होना चाहिए
शाइरी से इश्क़ करने की ये पहली शर्त है
पास तेरे मीर का दीवान होना चाहिए
क़तरा-ए-शबनम लब-ए-अबरू की ज़ीनत बन गया
बज़्म-ए-अहल-ए-दिल में ये ऐलान होना चाहिए
मुझ से ये शाना हिलाकर कहता है मेरा ज़मीर
तेरे अन्दर भी कोई इन्सान होना चाहिए
इश्क़ से महरूमियत है बद-नसीबी की दलील
आपको इस बात का इरफ़ान होना चाहिए
हुस्न ख़ुद बे-ताब बैठा है नुमाइश के लिए
चश्म-ए-दिल को दीद का अरमान होना चाहिए
मैं भी करता हूँ शजर हक़-गोई करने का गुनाह
मेरी क़िस्मत में भी तो ज़िंदान होना चाहिए
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari