dhadkan hoon jinke qalb kii aankhon ka noor hoon
sharminda hoon main khud se bahut un se door hoon
jo chahe vo saza do tumhein ikhtiyaar hai
sar kham kiye hue main tumhaare huzoor hoon
ik begunaah shakhs ye kah kah ke mar gaya
mera yaqeen kijie main bekusoor hoon
har koii ro raha hai mere haal par shajar
afsos kis qadar ka main zakhamon se choor hoon
धड़कन हूँ जिनके क़ल्ब की आँखों का नूर हूँ
शर्मिंदा हूँ मैं ख़ुद से बहुत उन से दूर हूँ
जो चाहे वो सज़ा दो तुम्हें इख़्तियार है
सर ख़म किए हुए मैं तुम्हारे हुज़ूर हूँ
इक बेगुनाह शख़्स ये कह कह के मर गया
मेरा यक़ीन कीजिए मैं बेक़ुसूर हूँ
हर कोई रो रहा है मिरे हाल पर 'शजर'
अफ़सोस किस क़दर का मैं ज़ख़्मों से चूर हूँ
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari