dil mein jo baat thi us baat ko kah sakte the
tum agar chahte ham saath mein rah sakte the
isliye hamne bichhadne ko hi behtar samjha
aapke aur mazaalim nahin sah sakte the
aapko hazrat-e-dil ilm nahin hai iska
aap toofaan-e-muhabbat mein bhi bah sakte the
aaj gar taish mein aa jaate shajar aur saahil
shehar ke unche makaanaat ye dhah sakte the
दिल में जो बात थी उस बात को कह सकते थे
तुम अगर चाहते हम साथ में रह सकते थे
इसलिए हमने बिछड़ने को ही बेहतर समझा
आपके और मज़ालिम नहीं सह सकते थे
आपको हज़रत-ए-दिल इल्म नहीं है इसका
आप तूफ़ान-ए-मुहब्बत में भी बह सकते थे
आज गर तैश में आ जाते शजर और साहिल
शहर के ऊँचे मकानात ये ढह सकते थे
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari