malaal hijr ka kuchh aise kam kiya jaaye
kisi kii yaad mein aankhon ko nam kiya jaaye
sitam hua hai jo farhaad qais raanjha par
hamaari zaat pe bhi vo sitam kiya jaaye
agar rivaaj hai chaahat mein sar chadhaane ka
to sab se pehle mera sar qalam kiya jaaye
nigaah-e-ishq se didaar-e-gumbad-e-khizra
khuloos-e-dil se tawaf-e-haram kiya jaaye
bata raha hai shajar ka yun hichakiyaan lena
shajar pe soora-e-yaaseen dam kiya jaaye
मलाल हिज्र का कुछ ऐसे कम किया जाए
किसी की याद में आँखों को नम किया जाए
सितम हुआ है जो फ़रहाद क़ैस राँझा पर
हमारी ज़ात पे भी वो सितम किया जाए
अगर रिवाज है चाहत में सर चढ़ाने का
तो सब से पहले मिरा सर क़लम किया जाए
निगाह-ए-इश्क़ से दीदार-ए-गुम्बद-ए-ख़िज़्रा
ख़ुलूस-ए-दिल से तवाफ़-ए-हरम किया जाए
बता रहा है शजर का यूँ हिचकियाँ लेना
शजर पे सूरा-ए-यासीन दम किया जाए
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari