zamaane bhar mein nafrat rah gai hai | ज़माने भर में नफ़रत रह गई है

  - Shajar Abbas

zamaane bhar mein nafrat rah gai hai
siyaasat hi siyaasat rah gai hai

meri barbaadiyon mein sab hain shaamil
tumhaari sirf shirkat rah gai hai

iraada kar chuka hoon khudkushi ka
faqat teri ijaazat rah gai hai

main gul ki pattiyaan choomun labon se
mere dil mein ye hasrat rah gai hai

zamaane bhar ko in aankhon ne dekha
bas ik teri hi soorat rah gai hai

jahaan kal tak thi khusshaali wahan pe
mahaj vehshat hi vehshat rah gai hai

mohabbat jismoon ka ik khel hai ab
mohabbat kab mohabbat rah gai hai

shikaayat karna ab turbat pe aakar
agar koi shikaayat rah gai hai

judaai barson pehle ho chuki hai
dilon mein phir bhi chaahat rah gai hai

shajar sab chhod deen hain aadaten ab
haan bas cigarette ki aadat rah gai hai

ज़माने भर में नफ़रत रह गई है
सियासत ही सियासत रह गई है

मेरी बर्बादियों में सब हैं शामिल
तुम्हारी सिर्फ़ शिरकत रह गई है

इरादा कर चुका हूँ ख़ुदकुशी का
फक़त तेरी इजाज़त रह गई है

मैं गुल की पत्तियाँ चूमूँ लबों से
मेरे दिल में ये हसरत रह गई है

ज़माने भर को इन आँखों ने देखा
बस इक तेरी ही सूरत रह गई है

जहाँ कल तक थी ख़ुशहाली वहाँ पे
महज़ वहशत ही वहशत रह गई है

मोहब्बत जिस्मों का इक खेल है अब
मोहब्बत कब मोहब्बत रह गई है

शिकायत करना अब तुर्बत पे आकर
अगर कोई शिकायत रह गई है

जुदाई बरसों पहले हो चुकी है
दिलों में फिर भी चाहत रह गई है

शजर सब छोड़ दीं हैं आदतें अब
हाँ बस सिगरेट की आदत रह गई है

  - Shajar Abbas

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari