kam az kam ik zamaana chahta hoon
ki tum ko bhool jaana chahta hoon
khudaara mujh ko tanha chhod deeje
main khul kar muskurana chahta hoon
saraasar aap hoon madde muqaabil
khudi khud ko haraana chahta hoon
mere haq mein uroos-e-shab hai maqtal
so us se lab milaana chahta hoon
ye aalam hai ki apne hi lahu mein
saraasar doob jaana chahta hoon
suna hai todte ho dil sabhon ka
so tum se dil lagana chahta hoon
usi bazm-e-tarab ki aarzoo hai
wahi manzar puraana chahta hoon
nazar se teer faenko ho so main bhi
jigar par teer khaana chahta hoon
charaagon ko paayaam-e-khaamoshi de
tere nazdeek aana chahta hoon
कम अज़ कम इक ज़माना चाहता हूँ
कि तुम को भूल जाना चाहता हूँ
ख़ुदारा मुझ को तनहा छोड़ दीजे
मैं खुल कर मुस्कुराना चाहता हूँ
सरासर आप हूँ मद्दे मुक़ाबिल
ख़ुदी ख़ुद को हराना चाहता हूँ
मेरे हक़ में उरूस-ए-शब है मक़तल
सो उस से लब मिलाना चाहता हूँ
ये आलम है, कि अपने ही लहू में
सरासर डूब जाना चाहता हूँ
सुना है तोड़ते हो दिल सभों का
सो तुम से दिल लगाना चाहता हूँ
उसी बज़्म-ए-तरब की आरज़ू है
वही मंज़र पुराना चाहता हूँ
नज़र से तीर फैंको हो, सो मैं भी
जिगर पर तीर खाना चाहता हूँ
चराग़ों को पयाम-ए-ख़ामुशी दे
तेरे नज़दीक आना चाहता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kazim Rizvi
our suggestion based on Kazim Rizvi
As you were reading Freedom Shayari Shayari