naqsh-o-nigaar-e-maazi rah rah ke yaad aaye
do chaar khoon ke qatre palkon pe dagmagaaye
teeron ne khudkushi ki dam khanjaro ka nikla
bismil ne hanste hanste seene pe zakhm khaaye
is baar bhi udaasi ham se sambhal na paai
is baar bhi bazahir ham khoob muskuraaye
sun ab ke ik anokhi tarkeeb mujh ko soojhi
main tujh ko bhool jaaun tu mujh ko bhool jaaye
dil khol kar ke main ne khud ko hadaf banaya
dil khol kar ke us ne sab teer aazmaaye
main apni aabroo ki mitti paleed kar doon
lekin teri ana par hargiz na harf aaye
basti mein rahne waale sab hosh kho rahe hain
kazim se ja ke kahiye ghazlen na gungunaaye
नक़्श-ओ-निगार-ए-माज़ी रह रह के याद आए
दो चार ख़ूँ के क़तरे पलकों पे डगमगाए
तीरों ने ख़ुदकुशी की, दम ख़ंजरो का निकला
बिस्मिल ने हँसते हँसते सीने पे ज़ख़्म खाए
इस बार भी उदासी हम से सँभल न पाई
इस बार भी बज़ाहिर हम ख़ूब मुस्कुराए
सुन अब के इक अनोखी तरकीब मुझ को सूझी
मैं तुझ को भूल जाऊँ, तू मुझ को भूल जाए
दिल खोल कर के मैं ने ख़ुद को हदफ़ बनाया
दिल खोल कर के उस ने सब तीर आज़माए
मैं अपनी आबरू की मिट्टी पलीद कर दूँ
लेकिन तेरी अना पर हरगिज़ न हर्फ़ आए
बस्ती में रहने वाले सब होश खो रहे हैं
काज़िम से जा के कहिये ग़ज़लें न गुनगुनाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kazim Rizvi
our suggestion based on Kazim Rizvi
As you were reading Sad Shayari Shayari