khizan mein gham na khushi aamad-e-bahaar mein hai
ki apna dil kisi be dil ke intezaar mein hai
durust hai ki ye gul khoobroo bahut hai magar
vo baat gul mein kahaan jo hamaare yaar mein hai
muqaabla jo haseenon se kar liya jaaye
to phir vo jeet mein kab hai jo lutf haar mein hai
samaa diya hai jo haq ne tumhaari baanhon mein
kab itna lutf meri jaan laalazaar mein hai
meri nazar mein munaafe se kam nahin kazim
vo har ziyaan jo mohabbat ke kaarobaar mein hai
ख़िज़ांँ में ग़म, न ख़ुशी आमद-ए-बहार में है
कि अपना दिल किसी बे दिल के इंतेज़ार में है
दुरुस्त है, कि ये गुल ख़ूबरू बहुत है मगर
वो बात गुल में कहाँ, जो हमारे यार में है
मुक़ाबला जो हसीनों से कर लिया जाए
तो फिर वो जीत में कब है, जो लुत्फ़ हार में है
समा दिया है जो हक़ ने तुम्हारी बाँहों में
कब इतना लुत्फ़ मेरी जान लालाज़ार में है
मेरी नज़र में मुनाफ़े से कम नहीं काज़िम
वो हर ज़ियाँ, जो मोहब्बत के कारोबार में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kazim Rizvi
our suggestion based on Kazim Rizvi
As you were reading Jeet Shayari Shayari