ye haqeeqat hai mazhaka nahin hai
vo bahut door hai juda nahin hai
tere honton pe raqs karta hai
raaz jo ab talak khula nahin hai
jaan ae jaan tere husn ke aage
ye jo sheesha hai aaina nahin hai
kyun sharaabor ho paseene mein
main ne bosa abhi liya nahin hai
us ka pindaar bhi wahin ka wahin
mere lab par bhi iltejaa nahin hai
jo bhi hona tha ho chuka kazim
ab kisi se hamein gila nahin hai
ये हक़ीक़त है, मज़हका नहीं है
वो बहुत दूर है, जुदा नहीं है
तेरे होंटों पे रक़्स करता है
राज़ जो अब तलक खुला नहीं है
जान ए जांँ तेरे हुस्न के आगे
ये जो शीशा है, आइना नहीं है
क्यों शराबोर हो पसीने में
मैं ने बोसा अभी लिया नहीं है
उस का पिंदार भी वहीं का वहीं
मेरे लब पर भी इल्तेजा नहीं है
जो भी होना था हो चुका काज़िम
अब किसी से हमें गिला नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kazim Rizvi
our suggestion based on Kazim Rizvi
As you were reading Lab Shayari Shayari