saahib-e-shar to kahin saahib-e-kirdaar mile
mujhko ahbaab bhi qismat se adakaar mile
chehra-e-chashm se jab ulta yaqeen ka parda
saf mein aghyaar kii sab baithe hue yaar mile
sook kii simt ko jaata hoon duaaein karna
mujhko yusuf kii tarah koii khareedaar mile
hazrat-e-dil ka jigar cheer ke rakh daalegi
nau-jawaani ko agar husn kii talwaar mile
mere mehboob ke kooche ka pata de dena
raah mein gar koii jannat ka talabgaar mile
bhookh aur dhoop ko ab aur nahin sah saktaa
koii sehra mein shajar mujhko samar-daar mile
साहिब-ए-शर तो कहीं साहिब-ए-किरदार मिले
मुझको अहबाब भी क़िस्मत से अदाकार मिले
चेहरा-ए-चश्म से जब उल्टा यक़ीं का पर्दा
सफ़ में अग़्यार की सब बैठे हुए यार मिले
सूक़ की सिम्त को जाता हूँ दुआएँ करना
मुझको यूसुफ़ की तरह कोई ख़रीदार मिले
हज़रत-ए-दिल का जिगर चीर के रख डालेगी
नौ-जवानी को अगर हुस्न की तलवार मिले
मेरे महबूब के कूचे का पता दे देना
राह में गर कोई जन्नत का तलबगार मिले
भूख और धूप को अब और नहीं सह सकता
कोई सहरा में शजर मुझको समर-दार मिले
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari