ye kahkashaan ye qamar aftaab mat dena
kisi ko ishq mein tum jhoote khwaab mat dena
jo waalidain naseehat karein to yaad rahe
palat ke unko kabhi tum jawaab mat dena
khilaaf ishq ke jismein koii rivaayat ho
mujhe bara-e-khuda vo kitaab mat dena
ye naujawaan hain peekar bahak bhi sakte hain
haseen aankhon kii inko sharaab mat dena
hamein khabar hai vo be-dard hai kuchal dega
shajar ke haath mein koii gulaab mat dena
ये कहकशाँ ये क़मर आफ़ताब मत देना
किसी को इश्क़ में तुम झूटे ख़्वाब मत देना
जो वालिदैन नसीहत करें तो याद रहे
पलट के उनको कभी तुम जवाब मत देना
ख़िलाफ़ इश्क़ के जिसमें कोई रिवायत हो
मुझे बरा-ए-ख़ुदा वो किताब मत देना
ये नौजवान हैं पीकर बहक भी सकते हैं
हसीन आँखों की इनको शराब मत देना
हमें ख़बर है वो बे-दर्द है कुचल देगा
'शजर' के हाथ में कोई गुलाब मत देना
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading undefined Shayari