qissa ajeeb saath hamaare shajar hua | क़िस्सा अजीब साथ हमारे शजर हुआ

  - Shajar Abbas

qissa ajeeb saath hamaare shajar hua
dushman tha jo hamaara wahi ham safar hua

dar par munaafiqat ke khada tha khada raha
kam zarf vo idhar na kabhi vo udhar hua

hairat se dekhte the hamein gham khade hue
jab gham ke raaston se hamaara guzar hua

ik maa ne kho di rote hue aankhon kii nazar
sehra kii nazr uska jo lakht-e-jigar hua

baad-e-salaam loonga main bosa jabeen ka
milna milaana raah mein us se agar hua

क़िस्सा अजीब साथ हमारे शजर हुआ
दुश्मन था जो हमारा वही हम सफ़र हुआ

दर पर मुनाफ़िक़त के खड़ा था खड़ा रहा
कम ज़र्फ़ वो इधर न कभी वो उधर हुआ

हैरत से देखते थे हमें ग़म खड़े हुए
जब ग़म के रास्तों से हमारा गुज़र हुआ

इक माँ ने खो दी रोते हुए आँखों की नज़र
सहरा की नज़्र उसका जो लख़्त-ए-जिगर हुआ

बाद-ए-सलाम लूँगा मैं बोसा जबीन का
मिलना मिलाना राह में उस से अगर हुआ

  - Shajar Abbas

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari