main gum rahoonga zamaane bhar se hayaat faaqon mein kaat doonga | मैं गुम रहूँगा ज़माने भर से हयात फ़ाक़ों में काट दूँगा

  - Shajar Abbas

main gum rahoonga zamaane bhar se hayaat faaqon mein kaat doonga
haan jhoothi shohrat haraam daulat ki dil mein hasrat nahin rakhoonga

tu shaahzaadi hai maah-roo hai tu mehalka hai tu mahjabeen hai
isee tarah se main teri midhat sada se karta hoon aur karunga

ye meri gazlen ye meri nazmein ye sher mere tire liye hain
sabhi sunaaunga tujhko us din main yaar jis din tujhe miloonga

agar tu meri tarah se thokar laga ke aa jaaye saltanat ko
to tujhko seene laga ke apne main tere qadmon ko choom loonga

agar chalegi hawaa-e-zulmat kahi jahaan mein khilaaf uske
mukhaalifat mein main uski haq ka charaagh bankar chamak uthoongaa

muhammadi hoon main haideri hoon main shabbri hoon main hoon husaini
main haq likhoonga main haq padhoonga main haq kahunga main haq sunoonga

samar mein doonga wafa muhabbat ka sabko doonga aman ka saaya
shajar agar main shajar banuunga to sun lo aisa shajar banuunga

मैं गुम रहूँगा ज़माने भर से हयात फ़ाक़ों में काट दूँगा
हाँ झूठी शोहरत हराम दौलत की दिल में हसरत नहीं रखूँगा

तू शाहज़ादी है माह-रू है तू महलक़ा है तू महजबीं है
इसी तरह से मैं तेरी मिदहत सदा से करता हूँ और करूँगा

ये मेरी गज़लें ये मेरी नज़्में ये शेर मेरे तिरे लिए हैं
सभी सुनाऊँगा तुझको उस दिन मैं यार जिस दिन तुझे मिलूँगा

अगर तू मेरी तरह से ठोकर लगा के आ जाए सल्तनत को
तो तुझको सीने लगा के अपने मैं तेरे क़दमों को चूम लूँगा

अगर चलेगी हवा-ए-ज़ुल्मत कहीं जहाँ में ख़िलाफ़ उसके
मुख़ालिफ़त में मैं उसकी हक़ का चराग़ बनकर चमक उठूँगा

मुहम्मदी हूँ मैं हैदरी हूँ मैं शब्बरी हूँ मैं हूँ हुसैनी
मैं हक़ लिखूँगा मैं हक़ पढूँगा मैं हक़ कहूँगा मैं हक़ सुनूँगा

समर में दूँगा वफ़ा मुहब्बत का सबको दूँगा अमन का साया
शजर अगर मैं शजर बनूँगा तो सुन लो ऐसा शजर बनूँगा

  - Shajar Abbas

Greed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Greed Shayari Shayari