chaand ka khwaab saja ke baithe hain | चाँद का ख़्वाब सजा के बैठे हैं - Aatish Indori

chaand ka khwaab saja ke baithe hain
ghar mein saankal laga ke baithe hain

sang ko khuda bana ke baithe hain
dhoop mein diya jala ke baithe hain

muqaabla gende ke phool se hai
gulaab khud ko saja ke baithe hain

gahri kaali raat bitaani hai
hum to hiya jala ke baithe hain

dil ko yaad uski mat dilvaao
mushkil se chup kara ke baithe hain

phone kahaan aata hai tumhaara ab
khud ko khud hi manaa ke baithe hain

चाँद का ख़्वाब सजा के बैठे हैं
घर में साँकल लगा के बैठे हैं

संग को ख़ुदा बना के बैठे हैं
धूप में दिया जला के बैठे हैं

मुक़ाबला गेंदे के फूल से है
गुलाब ख़ुद को सजा के बैठे हैं

गहरी काली रात बितानी है
हम तो हिया जला के बैठे हैं

दिल को याद उसकी मत दिलवाओ
मुश्किल से चुप करा के बैठे हैं

फ़ोन कहाँ आता है तुम्हारा अब
ख़ुद को ख़ुद ही मना के बैठे हैं

- Aatish Indori
1 Like

More by Aatish Indori

As you were reading Shayari by Aatish Indori

Similar Writers

our suggestion based on Aatish Indori

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari