halki sii aahat bhar se dil ka darwaaza khulta tha | हल्की सी आहट भर से दिल का दरवाज़ा खुलता था

  - Aatish Indori

halki sii aahat bhar se dil ka darwaaza khulta tha
ek zamaana vo bhi tha jab mujh pe poora khulta tha

thodi khat-pat hoti hai to deewarein uth jaati hain
pehle baatein hoti rahti theen to rasta khulta tha

jab se usne ishq kiya hai tab se dariya bahta hai
pehle aankhon mein se jannat ka darwaaza khulta tha

bin chitti-bin taar ke aate jaate the tab sandese
usne khidki gar khuli to mera kamra khulta tha

achhe se jaana karti thi vo ki mujhe kya bhaata hai
mujhse nazren takraain to uska jooda khulta tha

हल्की सी आहट भर से दिल का दरवाज़ा खुलता था
एक ज़माना वो भी था जब मुझ पे पूरा खुलता था

थोड़ी खट-पट होती है तो दीवारें उठ जाती हैं
पहले बातें होती रहती थीं तो रस्ता खुलता था

जब से उसने इश्क़ किया है तब से दरिया बहता है
पहले आँखों में से जन्नत का दरवाज़ा खुलता था

बिन चिट्ठी-बिन तार के आते जाते थे तब संदेशे
उसने खिड़की गर खोली तो मेरा कमरा खुलता था

अच्छे से जाना करती थी वो कि मुझे क्या भाता है
मुझसे नज़रें टकराऍं तो उसका जूड़ा खुलता था

  - Aatish Indori

More by Aatish Indori

As you were reading Shayari by Aatish Indori

Similar Writers

our suggestion based on Aatish Indori

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari