jitni dikhti hai utni hariyaali nahin hai
pichhdo kii basti tumko dikhlai nahin hai
saagar mein hai dariya mein gehraai nahin hai
baat ye jhooti hai ismein sacchaai nahin hai
adalaton maana raat ko bhi khul jaati hain
asli muddon kii lekin sunwaai nahin hai
jinko lootaa gaya hai unse jaakar poocho
itihaas kii kitaabon mein sacchaai nahin hai
ik do qaumon ke voton se hi jeete ho
tumne bahumat se sarkaar banaai nahin hai
जितनी दिखती है उतनी हरियाली नहीं है
पिछड़ो की बस्ती तुमको दिखलाई नहीं है
सागर में है दरिया में गहराई नहीं है
बात ये झूटी है इसमें सच्चाई नहीं है
अदालतें माना रात को भी खुल जाती हैं
असली मुद्दों की लेकिन सुनवाई नहीं है
जिनको लूटा गया है उनसे जाकर पूछो
इतिहास की किताबों में सच्चाई नहीं है
इक दो क़ौमों के वोटों से ही जीते हो
तुमने बहुमत से सरकार बनाई नहीं है
As you were reading Shayari by Aatish Indori
our suggestion based on Aatish Indori
As you were reading undefined Shayari