maan-pitaaji nahin rahe jab se
yaar ghar ghar nahin raha tab se
maut de do mujhe naya paikar
laash ko dho raha hoon main kab se
khush nazar aa rahe ho tum to yaar
main pareshaan yun hi tha kab se
kuchh ziyaada hi der kar di yaar
de raha tha sada tujhe kab se
khone ka dar sataane lagta hai
baat tum mat kiya karo sab se
माँ-पिताजी नहीं रहे जब से
यार घर घर नहीं रहा तब से
मौत दे दो मुझे नया पैकर
लाश को ढो रहा हूँ मैं कब से
ख़ुश नज़र आ रहे हो तुम तो यार
मैं परेशान यूँ ही था कब से
कुछ ज़ियादा ही देर कर दी यार
दे रहा था सदा तुझे कब से
खोने का डर सताने लगता है
बात तुम मत किया करो सब से
As you were reading Shayari by Aatish Indori
our suggestion based on Aatish Indori
As you were reading undefined Shayari